akela sa anjaana sa tha ik rahi
firta tha wo idhar udhar, jaane kya dhoondta tha
khud nahi wo jaanta tha ki kis ki talaash thi use
kya tha wo jiske bina use kuch nahi bhata tha
jiske liye wo sab kuch chod ke bhatak raha tha
kai baar use laga ki wo manzil ke bahut karib hai
lekin fir jab aankh khulti to pata chalta ki ye to mehaz ek sapna tha
ek din chate hue achanak uske kadam ruke
laga ki kuch hai,kuch jo shayad wohi ho jiski use talaash thi
kuch jise paane liye wo taras raha tha,bhatak raha tha
lekin wo kuch tha aasman mein ek azaad panchi
aur wo rahi use paane ki chahat mein wahin khada use dekhta raha
ki shayad kabhi to wo panchi us pe taras khaayega
kabhi to wo bhi aasman mein us panchi ke saath ud paayega
aas liye ye dekhta raha wo
neel gagan ki nilima mein niharate uske neeras nain
us neel kanth jaise nir mein peele panchi ko
jo kabhi peela,kabhi neela,kabhi safed ho jaata
jiske chamkeele par uski aankho mein aanso bhar dete
jiske neele paon uske dil ko nigal jaate
ye mere paas kyun nahi aata?
kyun ye mujhe hai chidhaata,sataata?
kyun ye itna hai itraata,nakhre dikhlata?
ye mein kabhi samajh naa paata
Friday, February 12, 2010
Subscribe to:
Posts (Atom)